kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch

[QUOTE]
*Originally posted by KinaRa: *


phiR apnay sung-o-daR ki be tauQeeR dekhna
tum apnay naam peR hamiN ruswa tu honay do
[/QUOTE]

sab log liye sang-e-malaamat nikal aaye
kis shahar mein ham ahal-e-muhabbat nikal aaye

:)

wow mashAllah ** wise guy , daagh aur kinara** app log tu :mash:
mein tu bas asay hi na app k shar tu zaberdast quality… :k:

wo mera hai jo nigahon men haya rakta ho
harr qadamm par sath chale azmewafa rakta ho
men naz b karon tu shikayat na kare
harr ghum men muskuraney ki ada rakkta ho

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

sar khukaoge to paththar devta ho jayega
itna mat chaho use woh bewafa ho jayega

welcome nikii ji :)
[/QUOTE]

:)

yun jaan di wafa mein k qatal tamam umer
dil ki adalton mein saza dhoondhta raha

[QUOTE]
*Originally posted by KinaRa: *

khud isay yaad nahi ahad-e-mohabat lakiN
muj ko bay'gana paymaan-e-wafa kahti hia
[/QUOTE]

yeh kiya k sab say bayan dil hi halatein karni
faraz tugh ko na aaein muhabatein karni

[QUOTE]
*Originally posted by nikii: *

yeh kiya k sab say bayan dil hi halatein karni
faraz tugh ko na aaein muhabatein karni
[/QUOTE]

hans ke faramaate hain vo dekh kar haalat meri
kyon tum aasaan samajhte the muhabbat meri

shukriya nikii ji :slight_smile:

“daagh” kal tak to dua aap ki maqabuul na thi
aaj muunh maangi muraad aap ne paai kyonkar

[QUOTE]
*Originally posted by KinaRa: *

bahaR se salamat hooN na undeR se shikasta yaa'Rub mujhay jeenay ki aa'da keon nahi ati.. [/QUOTE]
jeevan kya hai chalta phirta ek khilona hai do aankhon mein ek se hansna ek se rona hai jo ji chaahe vo mil jaaye kab aisa hota hai har jeevan jeevan jeene kaa samjhauta hai ab tak jo hota aaya hai vo hi honaa hai raat andheri bhor suhani yahi zamaana hai har chaadar mein dukh kaa taana sukha ka baana hai aati saans ko paana jaati saans ko khona hai -Nida Fazli-

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Tu hai gur mujh say Khafa Khud say Khafa hooN maiN bhi
Mujh ko pehchaan keh teri hee adaa hooN maiN bhi

[/QUOTE]

mere aansuon pe nazar na kar mera shikvaa sun ke Khafaa na ho
use zindagi kaa bhi haq nahin jise dard-e-ishq mila na ho

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

hans ke faramaate hain vo dekh kar haalat meri
kyon tum aasaan samajhte the muhabbat meri
[/QUOTE]

nikal ke dekho kabhi nafaraton ke pinjare say
tamam shaher ka "Manzar" khula sa lagta hai

[QUOTE]
*Originally posted by nikii: *

nikal ke dekho kabhi nafaraton ke pinjare say
tamam shaher ka "Manzar" khula sa lagta hai
[/QUOTE]

aaj ke daur mein ai dost ye manzar kyuun hai
zaKhm har sar pe har ik haath mein patthar kyuun hai

[QUOTE]
*Originally posted by nikii: *

yeh kiya k sab say bayan dil hi halatein karni
faraz tugh ko na aaein muhabatein karni
[/QUOTE]

Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaee hai me nay maat na pooch

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

aaj ke daur mein ai dost ye manzar kyuun hai
zaKhm har sar pe har ik haath mein patthar kyuun hai
[/QUOTE]

baa'rishaiN chaat maiN khuli jaghoon per hoti haiN
ghaam wo sawan jo band kamrooN k under barsay

Gham kaa vo zor ab mere andar nahiiN rahaa
is umr maiN meiN itanaa samar_var nahiin rahaa

is ghar maiN jo kashish thii ga_ii un dinoN ke saath
is ghar kaa saayaa ab mere sar par nahiiN rahaa

[QUOTE]
*Originally posted by ~Nazish~: *
Gham kaa vo zor ab mere andar nahiiN rahaa
is umr maiN meiN itanaa samar_var nahiin rahaa

is ghar maiN jo kashish thii ga_ii un dinoN ke saath
is ghar kaa saayaa ab mere sar par nahiiN rahaa
[/QUOTE]

aa'saaN tu nahi hai k us ko bhulaa sakooN
lakiN uter be jatey haiN darya charhay huwey

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

aa'saaN tu nahi hai k us ko bhulaa sakooN
lakiN uter be jatey haiN darya charhay huwey
[/QUOTE]

main bhuul jaauun tumhe ab yahi munaasib hai
magar bhuulana bhi chaahuun to kis tarah bhuuluun
ki tum to phir bhi haqiqat ho koi khvaab nahin
yahaan to dil kaa ye aalam hai kya kahuun
kamabakht
bhulaa sakaa na ye silsilaa jo tha hi nahin

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

main bhuul jaauun tumhe ab yahi munaasib hai
magar bhuulana bhi chaahuun to kis tarah bhuuluun
ki tum to phir bhi haqiqat ho koi khvaab nahin
yahaan to dil kaa ye aalam hai kya kahuun
kamabakht
bhulaa sakaa na ye silsilaa jo tha hi nahin
[/QUOTE]

tapak partey haiN aa'nsoo jab kisi ki yaad ati hia
ye wo barsaat hia jis ka koi moasam nahi hota

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

tapak partey haiN aa'nsoo jab kisi ki yaad ati hia
ye wo barsaat hia jis ka koi moasam nahi hota
[/QUOTE]

jo aake ruke daaman pe 'sabaa' vo ashq nahin hain paani hai
jo aansuu na chhalke aankhon se us ashq ki qeemat hoti hai

koi hai ??? :rolleyes:

next post please

[QUOTE]
*Originally posted by Daagh: *

jo aake ruke daaman pe 'sabaa' vo ashq nahin hain paani hai
jo aansuu na chhalke aankhon se us ashq ki qeemat hoti hai
[/QUOTE]

koN rota hia kisi aur ki khatir aa'ey dost
sab ko apni he kisi baat pe rona aa'ya

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

koN rota hia kisi aur ki khatir aa'ey dost
sab ko apni he kisi baat pe rona aa'ya
[/QUOTE]
Bad gumaaN ho kay mil ay dost jo milnaa hai tujhay
Yeh jhijhaktay huay milna koi milna bhi naheeN