Kitnay parvaaney jaley...!!

***Kitnay parvaaney jaley raaz yeh paaney kay liye,
Shamaa jalnay kay liye hai yaa jalaaney kay liye,

Ronay vaaley tujhay ronay kaa saleeka bhi nahi,
Ashq peenay kay liye hain ya bahaanay kay liye,

Tum tou nadaan ho,na samjhogay yeh zaalim duniya,
Sarr chadda leti hai nazron say giraaney kay liye,

Aaj karta hun shab-e-gamm kee shikaayit tum say,
Roz aa jaati hai kambakht sataanay kay liye,

Mujhko maloom thaa aap aayeingay meray ghar par,
Khud chala aayaa hun main yaad dilaaney kay liye,

Ishq nay raaz yeh ab tak na bataaya hai shakeel,
Sarr jhukaaney kay liye hai ya kataaney kay liye,***

wah:k:

sir jhukanay kaliye hai ya katanay kaliye … :slight_smile:

Re: Kitnay parvaaney jaley...!!

i like ur avatar shab-e-hijar :)

Re: Kitnay parvaaney jaley…!!

beautiful ghazal. :k:
by the way I like shab’s avatar as well. :wink: