ab ye hoga shaid apni aag mein khud jal jaaein gay
tum say dour bohot reh kar bhi kya paaya, kya paaein gay
dukh bhi sachay, sukh bhi sachay, phir bhi teri chaahat mein
hum nay kitnay dhokay khaey, kitnay dhokaey khaein gay ![]()
aql pay humko naaz bohot tha, lekin ye kab socha tha
ishq k haathon ye bhi hoga, loag hamein samjhaein gay