kitna sehl jana tha
**khushbowon ko choo lena **
**barishon kay mausam mein sham ka har ik manzar **
**ghar mein qaid kar lena **
**roshni sitaron ko muthion men bhar lena **
kitna sehl jana tha
khushbwon ko choo lena
jugnowoon ke baton say phol jesay angan men
**roshni se kar lena **
**us ki yaad ka chehra khuwabnak ankhon ke **
jheel kay gulaboon par dair tak saja rakhna
**kitna sehl jana tha **
**ay nazar ki khush fehmi ! iss tarha nahi hota **
**titliaan pakaray ko door jana parta hay **