Re: KITABOON NA KYA DIA MUJ KO
Dr Jee. Aap k mareez ko ek ghazal dedicate kar raha hoon.
phir aaj mujhay tumko bas itna batana hai hansna hi jeevan hai, hanstay hi jana hai
madhuban ho ya gulshan ho, patjhar ho ya sawan ho har haal mein insaa'n ka ek phool sa jeevan ho kaanton mein ulajh kar bhi khushbu hi lutaana hai hansna hi jeevan hai, hanstay hi jana hai
har pal jo guzar jaey, daaman ko to bhar jaey ye soch k jee lein to taqdeer badal jaey is umr ki raahon se khushion ko churaana hai hansna hi jeevan hai, hanstay hi jana hai
sab dard mita dein hum, har gham ko saza dein hum kehtay hein jisay jeena, dunya ko sikha dein hum ye AAJ to apna hai, KAL bhi apnana hai hansna hi jeevan hai, hanstay hi jana hai
Very Nice...........)