http://i53.tinypic.com/2z5kxoj.jpg
**
Ussay kehna kitaboon mein rakhe sookhay huwe kuch phool
Us ke laut aanay ka yakeen ab tak dilaatay hain
Ussay kehna ke us ki jheel se aankhain kisi manzar per chaa jayain
Tau sab manzar yunhi phir bheeg jaatay hain
Ussay kehna ke thandi baraf per koi kisi ke sath chalta hai tau
Qadmoon ke nishaan phir se ussi ke laut aanay ke nishaan
Dil per banaatay hain
Ussay kehna ke uski bheegi aankhoon ka woh aansoo
Sitaray ki tarah ab bhi humein shab bhar jagaata hai
Ussay kehna ke barish khirkeyoun pe us ke aansoo paint karti hai
Ussi ka naam likhti hai
Ussay hi gun’gunaati hai
Ussay kehna ke khushbo chandni taaray saba rastay ghatta kajal
Muhabbat shabnam hawayain raat din badal
Sabhi naraaz hain hum se
Ussay kehna judai ke darakhtoon per jo sookhi tehneyaan hain
Woh sare baraf ki chadar mein kab ki dhak chuki hain
Aur un shaakhoon pe yaadoon ke
Jo pattay thay sunheri hogaye hain
Ussay kehna December so gaya hai
Aur yakh basta woh bheegi january phir laut aaee hai
Ussay kehna ke laut aaye …
**