Kitab

~ K I T A B ~

ji chahta hay teray naam ek kitab likhoon
us kitab main aapko mehtab likhoon
tere mere piyar ki zindgani ko
ek khilta hua umda gulab likhoon

soch raha hoon jo gham ham ne jhelain hain
un gamaoun ko kitab main azab likhoon
yaad hay aapki har ek guftagu-e-maazi
ji chahta hay har guftagu par ek kitab likhoon

de gaye ujalay meri zindagi main aap nay
us kitab main aapko aaftab likhoon
Shakir to bas tere naam se jeeta aur marta hay
is se ziyada aur kiya main janab likhoon.

Nice :k:

10x 4 Sharing :slight_smile:

nice :)