Dania
1
Kitab-e-Dil kaa koi bhi waraq saadah nahin hota
Nigah uss ko bhi parh lati hay jo likha nahin hota
Usay main dhekti rehti hoon yaadon kay chanaron say
Nigahon ki tapish say woh kabhi shola nahin hota
Hawa ko choona chahti hoon kay yai uss ko bhi chooti hay
Magar mera junoon mujh say kabhi poora nahin hota
Sunana chahti hoon haal-e-dil jis aik jumlay main
Bikhar jata hay woh jumla kabhi yakjaa nahin hota
Tapish iss dil ki aa pohnchi meri namnaak aankhon tak
Kaash jo jal gaya kandha wohi tera nahin hota
Mujhay iss haal tak pohncha diya teri muhabbat nay
Sitam kaisa bhi ho tujh say koi shikwaa nahin hota
Re: Kitab-e-Dil kaa koi bhi waraq saadah nahin hota
[QUOTE]
*Originally posted by Dania_2000: *
Kitab-e-Dil kaa koi bhi waraq saadah nahin hota
Nigah uss ko bhi parh lati hay jo likha nahin hota
Usay main dhekti rehti hoon yaadon kay chanaron say
Nigahon ki tapish say woh kabhi shola nahin hota
Hawa ko choona chahti hoon kay yai uss ko bhi chooti hay
Magar mera junoon mujh say kabhi poora nahin hota
Sunana chahti hoon haal-e-dil jis aik jumlay main
Bikhar jata hay woh jumla kabhi yakjaa nahin hota
Tapish iss dil ki aa pohnchi meri namnaak aankhon tak
Kaash jo jal gaya kandha wohi tera nahin hota
Mujhay iss haal tak pohncha diya teri muhabbat nay
Sitam kaisa bhi ho tujh say koi shikwaa nahin hota
[/QUOTE]
nice poetry dania keep it up :)
Dania
3
Re: Re: Kitab-e-Dil kaa koi bhi waraq saadah nahin hota
