kitab-e-dil kaa koi bhi waraq saa’daa nahiN hota
niga’h uss ko bhi parh lay’ti hay jo likha nahiN hota
usay maiN dhekti rehti hoon yaa’don ke chana’rooN se
nigahoN ki tapish se wo kabhi shola nahiN hota
hawa ko chuuna chahti hooN ke ye uss ko bhi chuuti hai
magar mera junoo’N mujh se kabhi poora nahin hota
sunana chahti hoon haal-e-dil jis aik jumlay maiN
bikhar jata hai wo jumla kabhi yak’jaa nahiN hota
tapish is dil ki aa pohnchi meri nam-naak aankhoN tak
kaash jo jal gaya kandha wohi tera nahin hota
mujhay is haal tak pohncha dee’ya teri muhabbat ne
sitam kaisa bhi ho tujh se koi shikwaa nahin hota