kissi larki sey mut kehna.

kissi larki sey mut kehna
kay us sey pyaar kertay ho
ager bay-dihaani main bhi ye ikraar ker baythey
kissi sey pyaar ker baythey
tu phir wadooN ki dourooN main ulajh jaoo gay
tumharey pyaar ka us ko ager ahsaas ho jaye
tu ho sakta hai tum us ka rung-o-roop bun jaoo
mohabbet kay safer main shayed aisa moor aa jaye
kay tum naraazgi ka burmala izhaar ker baythey
koi inkaar ker baythey
tu ye sumjho koi sheehsa, koi dil toot jaye ga
kay un kay dil bohat nazuk, bohat kumzoor hotey hain
kissi larki kay dil ka tootna bhi moot hoti hai
kissi larki sey mut kehna
kay us sey pyaar kertay ho..

bohat khoob

hummmmmmmmmmmm
interesting:k::k:

:confused:
Na pyar
Na inkaar
:help:

Re: kissi larki sey mut kehna.

Sentimental :k:
Suno agar piyar ho jaye to batana parta hai na!!

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
:confused :
Na pyar
Na inkaar
:help :

[/QUOTE]

konsi baat aap ki samajh main nahi aaye hain janaab??

Capi
kissi larki sey mut kehna
kay us sey pyaar kertay ho ........

lakin ager aap waqai main us larki ko chahtey hain, aur aap ko yaqeen hai k aap ussey dukh nahi dain gay aur ussey apnaa lain gay, tub us sey izhaar-e-mohabbet kerna.. :)

nice one :)

[QUOTE]
Originally posted by ** Vivacious ***: *

** konsi baat aap ki samajh main nahi aaye hain janaab?? **

Capi
kissi larki sey mut kehna
kay us sey pyaar kertay ho ........

lakin ager aap waqai main us larki ko chahtey hain, aur aap ko yaqeen hai k aap ussey dukh nahi dain gay aur ussey apnaa lain gay, tub us sey izhaar-e-mohabbet kerna.. :)
[/QUOTE]

pata nahi .... kabhi kabhi ziyada ho jati hay

waisay bhi yeh kajal, choorri ki mohabat humari samjh main aanay say to rahi