Kissee Khush Nigah See Ankh Nay Yeh Kamal Mujh Pay Karam Kiya
Mairee Looh-e-Jaan Pay Raqam Kiya
Woh Joo Aaik Chand Sa Haraf Tha Woh Joo Aaik Sham Sa Naam Tha
Woh Joo Aik Phool See Baat Phirtee Thee Dar Baa Dar
Usaay Gulistaan Ka Pata Diya
Maira Dil Kay Shaher-e-Milal Tha Ussay Rooshni Main Basa Diya
Mairee Ankh Oor Mairay Khawab Koo Kisse Aik Pul Main
Bahum Kiya
Mairay Aainoo~n Pay Joo Gard Thee Mah-o-Saal Key
Woh Utar Gaiee
Woh Joo Dhund Thee Mairay Chaar Soo Woh Bikhar Gaiee
Sabhi Roop Aks-e-Jamal Kay
Sabhi Khawab Sham-e-Visal Kay
Woh Joo Ghubar-e-Waqt Main Sar Basar Thay Aatay Howay
Woh Chamak Uthay
Woh Joo Phool Rah Key Dhool Thay
Woh Mahek Uthay
Liay Saat Rang Bahar Kay
Chala Main Joo Sang Bahar Kay
Kisse Dast-e-Shobida Baaz Nay
Maiary Naam Par Mairay Wastay
Mairee Bay Gharee Koo Panah dee
Mairee Justajoo Koo Nishaan Diya
Joo Yaqeen Say Bhee Haseen Hai, Mujhay Aik Aisa Guma~n Diya
Woh Joo Reeza Reeza Wajood Tha
Ussay Aik Nazar Main Bahum Kiya
Kisse Khush Nigah See Ankh Nay
Yeh Kamal Mujh Pay Karm Kiya