Kiss kadar anokha hy raabta muhabbat ka

**++Kiss kadar anokha hy raabta muhabbat ka,
++Kab na janay ho jaye mojza muhabbat ka…

++Apni zaat sy b wo +ajnabi sa lagta hy,
++Jiss k sath ho jaye haadsa muhabbat ka…

++Wo chala hi jata hy jis ny jana hota hy,
++Lakh do chahay usko waasta muhabbat ka…

++Zindagi mein jeenay ka aasra nahi rehta,
++Jab kisi sy cheen jaye hosla muhabbat ka…

++Doston sy agar tumhain muhabbat hy,
++Doston ko mat dena mashwara muhabbat ka…**

Re: Kiss kadar anokha hy raabta muhabbat ka

bohot khoob

Re: Kiss kadar anokha hy raabta muhabbat ka

:k:

**++Apni zaat sy b wo +ajnabi sa lagta hy,
++Jiss k sath ho jaye haadsa muhabbat ka…

Per humne to suna tha ke muhabbat ho jae to zindagi pyari lagne lagti hai…
**

Re: Kiss kadar anokha hy raabta muhabbat ka

Aazmaish shert hy…

zindagii hamase to is darjaa taGaaful na barat
ham bhii shaamil the tere chaahanevaalo.n mein kabhii

Re: Kiss kadar anokha hy raabta muhabbat ka

mujh se bicher ke tu bhi rooe ga umer bhar
ye sooch le ke main bhi teri khowohish main hoon

Re: Kiss kadar anokha hy raabta muhabbat ka

**
meiN tere wisal ki khuwahish ko na marne doonga**
mausam-e-hijr ke lehje meiN thakan kesi hai....??

Re: Kiss kadar anokha hy raabta muhabbat ka

workload hai boht aajkal neend hoti nahi puri
Wasl to phir wasl hai, her khwahish hai adhoori :crying:

Re: Kiss kadar anokha hy raabta muhabbat ka

**meri khuwahish kabhi puri na hogi
mujhay is baat ka sadma bohot hai
**

Re: Kiss kadar anokha hy raabta muhabbat ka

Shikwa na kar gila na kar
Ye dunia hai pyare yahan gham ke mare
TaRapte hain TaRapte rahenge

Re: Kiss kadar anokha hy raabta muhabbat ka

**
Kisi se koi b shikwa na koi b shikayat hy
Jo mere sath chahat mai hua hona zaruri tha**