kisne vaadaa kiya hai aane ka

*kisne vaadaa kiyaa hai aane kaa
husn dekho ghareeb khaane kaa
*
*ruuh ko aainaa dikhaate hain
dar-o-deevaar muskuraate hain
*
*aaj ghar, ghar banaa hai pehlee baar
dil main hai khush saleeqagi bedaar
*
*jamaa saamaan hai aish-o-ishrat kaa
khauf dil main fareb-e-qismet kaa
*
soz-e-qalb-e-kaleem aankhon main
ashk-e-ummeed-o-beem aankhon main
chashm-bar-raah-e-shauq ke maare
chaand ke intezaar main taare *
**
*~~~~~
***~~~~~

Josh Malihabadi
*~*****~
*