kismet

Re: kismet

ho saktaa hai k aapkii du’aa aapke Haq meN bahtar na ho? isii liye jab du’aa maangii jaatii hai to banda Allah se kahtaa hai k “yaa Allah, agar yeh mere Haq meN bahtar ho to tu merii du’aa qubool farmaa varna na farmaa kiuN k tu hii Ghai’b kaa jaannewaalaa hai”

merii chachii jaan marHooma hamesha du’aa maangaa kartii thiiN k chachaa jaan kii taraqqii ho jaaye…vo police ke sab se baRe afsar ban jaayeN…du’aa to qubool ho gaii…vo baRe afsar ban gaye magar taraqqii ke chand maah ke andar hii unkii DaakuuoN se muDbheR huii aur vo golii lagne se jaaN_ba_Haq ho gaye!

to, kia yeh du’aa kii qubooliyat unke Haq meN bahtar thii? hargiz nahiiN!