Kismat ney kar diya jo mayasir utha liya..........

**Kismat ney kar diya jo mayasir utha liya
Pathar utha liya kabhi Gohar utha liya

Paimana e jaam meena o sagar utha liya
Sakhi ney jo dey diya sar par utha liya

Woh aadmi farishta hai jis ney Qadam Qadam
Ghairoon ka ghaam bhi apna samjh kar utha liya

Kia Karbala Key Zalimoon ki laye koi misaal
Manga jo pani bachoon ney Nashtar utha liya

Mujh say guraiz karney lagey mere hum safar
Main ney Qadam jo rah mein behtar utha liya

Ehbaab mujh say es liye naraz hain Qamar
Kiun us ney mujh ko apney barabar utha liya…!**

Re: Kismat ney kar diya jo mayasir utha liya..........

**
Kia Karbala Key Zalimoon ki laye koi misaal
Manga jo pani bachoon ney Nashtar utha liya

Mere khyal se ye aisa hona chahiye:
**
*Manga jo pani bachoon pe Nashtar utha liya
*

Re: Kismat ney kar diya jo mayasir utha liya..........

[QUOTE]
Woh aadmi farishta hai jis ney Qadam Qadam
Ghairoon ka ghaam bhi apna samjh kar utha liya

[/QUOTE]
aise insan ab kahan milte hain

Re: Kismat ney kar diya jo mayasir utha liya..........

hmmmmmmm...........lykin ye is terhan hy..........

*Manga jo pani bachoon ney..... Nashtar utha liya
*

Re: Kismat ney kar diya jo mayasir utha liya..........

punctuation confusion