***maiN wo kis taRha se karuN biyaN
jo kiye gaye heiN sitaam yahaN
sunay koN meRi ye dastaa’N
koi gham nasheen hay na razda’N
jo tha jhoot wo bana sach yahaN
nahi kholi maine magaR zubaa’N
ye akela pan ye udasi’yaaN
meRi zindagi ki hain taRjuma’N
meRi zaat zaRa-e-by-nishaa’N
main batauN kia mujhay kia milay
mujhay sabaR he ka sila milay
kisi yaad he ki rida milay
kisi daRd he ka sila milay
kisi gham ki dil main jagah milay
jo meRa hay wo mujhay aa milay
rahay shaad yuun he meRa jahaN
kay yaqeen main badlay meRa gumaa’N
meRi zaat ZRa-e-benishaa’N