kisi surat usay pa lein irada shehr bher ka tha
haseen thay aur bhi laikin wo pyara shehr bher ka tha
hua jis waqt wo rukhsat , sabhi chehray thay afsurda
faqat mera nahi tha ye khasara shehr bher ka tha
mera tha dard he aisa na thi jis ki dawa koi
wagarna wo maseeha to maseeha shehr bher ka tha
jo deewanay tumharay hain unhain kal main nay dekha tha
nahi thi baat ik do ki tamasha shehr bher ka tha
jahan apnay bhi apnoon ko na thay pehchan-nay walay
wahan ik shakhs he fatir shanasa shehr bher ka tha.<?xml:namespace prefix = o ns = “urn:schemas-microsoft-com:office:office” /><o:p></o:p>