Kisi say huM milay nahi kisi diL mila nahi

[QUOTE]
*Originally posted by NikamiJano: *

inhi pathrooN pe chal k aa sako tu aa'wo meRay ghaR k rasteY maiN koi kahkashaN nahi [/QUOTE]


Bikhair kar chala gaya meray chehray pay apna ghum
Mujhko atta ajeeb nishani woh kar gaya
Mujhsay ana parast nay chaha ussay qateel
Pathar ko apni aanch say pani woh kar gaya

[QUOTE]
*Originally posted by chand_chehra: *

Shesha gar bethay rahay zikr-e-maseha lakar
Aur hum toot gaye kancH kay payalo-N ki tarha
[/QUOTE]



Apni tanhai meray naam pay abad kare
Koun hoga jo mujhe is terhan yaad kare

[QUOTE]
*Originally posted by superglue: *



Apni tanhai meray naam pay abad kare
Koun hoga jo mujhe is terhan yaad kare

[/QUOTE]

dil be kisi zid pe uRa hai kisi bachay ki tarha
ya tu sab kuch he isay chaiey ya kuch be nahi

[QUOTE]
*Originally posted by superglue: *



Bikhair kar chala gaya meray chehray pay apna ghum
Mujhko atta ajeeb nishani woh kar gaya
Mujhsay ana parast nay chaha ussay qateel
Pathar ko apni aanch say pani woh kar gaya

[/QUOTE]

tu idher udher ki baat na kaR ya bata k luta kahan qafila
mujhaY rah'zaaN se gila nahi teRi rahbaRi se sawal hai

[QUOTE]
*Originally posted by chand_chehra: *

Justaju khoaye huwoa'O ki umr bhar kartay rahay
Chand kay hamra hum shub bhar safar kartay rahay
[/QUOTE]

wohi iztraab-e-firaaq hai wohi ishtayaq-e-visal hai
teRi justaju maiN jo haal tha tujhaY pa k be wohi haal hai

[QUOTE]
*Originally posted by chand_chehra: *


Shesha gar bethay rahay zikr-e-maseha lakar
Aur hum toot gaye kancH kay payalo-N ki tarha
[/QUOTE]

ye shiishe ye sapane ye rishte ye dhaage
kise kyaa Khabar hai kahaaN TuuT jaayeN
muhabbat ke dariyaa meiN tinake vafaa ke
na jaane ye kis moRe par Duub jaayeN

[QUOTE]
*Originally posted by superglue: *

*

Apni tanhai meray naam pay abad kare
Koun hoga jo mujhe is terhan yaad kare

[/QUOTE]

Socho'n main teri yaaD ka pathar tarash kaR
Poja hai istarha say kay jakar khuDa say poch

[QUOTE]
*Originally posted by NikamiJano: *

tu idher udher ki baat na kaR ya bata k luta kahan qafila mujhaY rah'zaaN se gila nahi teRi rahbaRi se sawal hai [/QUOTE]


In main moti hain ke pathar, kisse khabar
Dil to samundaron se bhi gehra hai dosto

[QUOTE]
*Originally posted by chand_chehra: *

Socho'n main teri yaaD ka pathar tarash kaR
Poja hai istarha say kay jakar khuDa say poch
[/QUOTE]



Doobna hi tha jo Kashti ka Muqaddar, Ya Rub
Aankh ke saamney, Aey Kaash, Na Saahil hota

[QUOTE]
*Originally posted by superglue: *



In main moti hain ke pathar, kisse khabar
Dil to samundaron se bhi gehra hai dosto

[/QUOTE]


itni se guzarish hai meRi ahl-e-nazaR se
insaan ko tola na kareN lal-o-guhaR se

[QUOTE]
*Originally posted by NikamiJano: *

*

wohi iztraab-e-firaaq hai wohi ishtayaq-e-visal hai
teRi justaju maiN jo haal tha tujhaY pa k be wohi haal hai
[/QUOTE]

mai.n is liye manaataa nahii.n vasl kii Khushii
mere raqiib kii na mujhe bad_duaa lage

:k:

yuuN naqsh huwa ankh ki putli pe wo chahRa
phiR hum ne kisi auR ki suraat nahi dekhi

[QUOTE]
*Originally posted by chand_chehra: *

mai.n is liye manaataa nahii.n vasl kii Khushii
mere raqiib kii na mujhe bad_duaa lage
[/QUOTE]


aur bhi Gam haiN zamaane meiN mahabat ke sivaa
raahateN aur bhii haiN vasal kii raahat ke sivaa

[QUOTE]
*Originally posted by NikamiJano: *

*

yuuN naqsh huwa ankh ki putli pe wo chahRa
phiR hum ne kisi auR ki suraat nahi dekhi
[/QUOTE]

palkooN pay ruk si gaye thi har ek moj
kal roliye to ankh say daryA uraR gya

[QUOTE]
*Originally posted by superglue: *

*

Doobna hi tha jo Kashti ka Muqaddar, Ya Rub
Aankh ke saamney, Aey Kaash, Na Saahil hota
[/QUOTE]

Na janay kon hai jo dua'aoN main yaad karta hai
Main dobta ho samandaR uchaaL deta hai

Har lafz kitaabon main tera aks liay hai Eik chand sa chehra mujhey parhney nahin dayta * well the second misra is Aik phool sa Chehra..... but ahem ahem i like chand better then phool :blush:*

[QUOTE]
*Originally posted by NikamiJano: *


itni se guzarish hai meRi ahl-e-nazaR se
insaan ko tola na kareN lal-o-guhaR se
[/QUOTE]


nazuk tha dil to phool ki pati se bhi
dunia ke hadsat ne pathar bana dia

:eek: :rolleyes:

[QUOTE]
*Originally posted by superglue: *


nazuk tha dil to phool ki pati se bhi
dunia ke hadsat ne pathar bana dia

[/QUOTE]

ab ye rah-o-rasam o dosti bus yehi ho k rah gaye
koi faRaib day sakaY koi faRaib khaa sakaY

[QUOTE]
*Originally posted by NikamiJano: *

*

ab ye rah-o-rasam o dosti bus yehi ho k rah gaye
koi faRaib day sakaY koi faRaib khaa sakaY
[/QUOTE]

Ye qurbataiN bhi baray imtehaaN lati hain
kisi say wasta rakhna to dooor ka rakhna