**kisi ko hum se hain chand shikvaye, kisi ko behad shikaitain hain
humare hisay main sirf apni safaiyan hain, wazahatain hain
qadum qadum par badal rahe hain masafuron ki talb ke raste
hawaon jaisi mohabatain hain, sadaon jaisi rafaqatain hain
kisi ka maqrooz main nahi, par, mere ghirebaan pe haath sab ke
koi meri chahaton ka dushman, kisi ko darkar chahatain hain
teri judai ke kitne soraj, ufaq pe doobey, magar abhi tak
khalish hai seeney main pehle din si, lahoo main waisi hi washatain hain
meri mohabat ke razdan ne yeh keh ke luta diya mera khat
ke bhigee bhigee si ansoon main tamam gunjlak ihbartain hain
main dosroon ki khushi ki khatar ghubar ban kar bikhar gaya hoon
magar kisi ne yeh haq nah mana ke meri bhi kuch zaroratain hain**