Kisi kitab main tha aur na dastaan main tha

**Kisi kitab main tha aur na dastaan main tha
Ajeeb sooz mere zakhmon ki zubaan main tha

Zameen ne hi mujhye good le liya warna
Sitara saaz ne rakha toh aasman main tha

Main sabaz bakht k soya huwa tha manzel par
Utha toh dhasht e musafat k darmiyan main tha

Sawal karne se pahle hi inkashaf huwa
Mera sakhi toh kisi aur imtahan main tha

"Ziya"pokarta kis ko, sadaeen kia deta
Main chat par pouncha toh darya mere makan main tha**

Re: Kisi kitab main tha aur na dastaan main tha

**"Ziya"pokarta kis ko, sadaeen kia deta
Main chat par pouncha toh darya mere makan main tha

Kia sailaab aaya huwa tha?
**

Re: Kisi kitab main tha aur na dastaan main tha

botom line parhny k baad bhi wazahat krny ki zarorat hy kia.....?

Re: Kisi kitab main tha aur na dastaan main tha

lekin jab shayar sailab se bach gaya chat pe chaRh jane ki waja se to phir ye shair likhne ka maqsad... aisa lag raha hai shayar ko bach jane ki khushi nahin hui