Kisi ki yaad mein raatoon ko aksar jagna mamool thaa apna

Ajjab din thay muhabbat ke Ajjab mausam thay chaahat ke Kabhi gar yaad ajayain tu palkoon per sitare jhilmilatay hain Kisi ki yaad mein raatoon ko aksar jagna mamool thaa apna Kabhi gar neend ajaati tu hum yeh soch lete thay Abhi tu woh hamaare wastay roya nahee hoga Abhi soya nahee hoga Abhi hum bhi nahee rotay Abhi hum bhi nahee sotay So phir hum jaagtay aur us ko yaad karte thay Akele beth kar weraan dil abaad karte thay Hamaare saamne taroon ke jhurmat mein akela chaand hota thaa Jo us ke husn ke agay bahut hi maand hota thaa Falak per raqs karte an-ginnat raushan sitaroon ko Jo hum tarteeb dete thay Tu **US** ka naam banta thaa Hum agle roz jab miltay Tu guzri raat ki har be-kali ka zikar karte thay Har ek qissa bataate thay Kahaan kis wakt kis tarah se dil dharka bataate thay Main jab kehta ke janaan, aaj tu mein raat ko ek pal nahee soya Tu woh khamoosh rehti thee Per us ki neend mein doobi huwei do jheel si aankhain Achanak bol uth'tee theen Mein jab us ko bataata thaa Ke mein ne raat ko raushan sitaroon mein Tumharaara naam dekha thaa Tu woh kehti, Razi tum jhoot kehtay ho Sitaray mein ne dekhay thay Aur un raushan sitaaroon mein tumhaara naam likha thaa Ajjab masoom larki thee Mujhe kehti thee lagta hai ke Ab apne sitaaray mil hi jaayenge Magar us ko khabar kya thee Kinaray mil nahin saktay Muhabbat ki kahaani mein Muhabbat karne waaloon ke Sitaaray mil nahee saktay...

Gosh! So touchy & lovely piece .. Thanks for sharing ...

beautifull…:k:

Awww... so lovely amazing Ab !

very nice :k:

soooo touchy.... thnks for sharing

zabardast :)

Thanks Philanthrope, baziger, TajMahal, chand_chehra, chodhry and SuraJ ...

itni dafa post ho chuka hay keh aab pharray ko jee hi nahi karta