Kisi ki aankh mein khud ko talaash karna hai
Phir is ke baad hamain aaeno’oon say darna hai
Falak ki band gali ke faqeer hain yeh taaray
Ke ghoom phir ke yaheen se inhain guzarna hai
Jo zindagi thee meri jaan, tere saath gaee
Bas ab tu umer ke naqshay mein wakt bharna hai
Jo tum chalo tu abhi do qadam mein kat jaayay
Jo faasila mujhe sadeyoon mein paar karna hai
Tu kyon na aaj yaheen per qayyaam ho jaayay
Ke shab qareeb hai aakhir kaheen theharna hai
Sehar huwi tu sitaroon ne moond lee ankhain
Woh kya karain ke jinhain intezaar karna hai