Kisi kamzor lamhay me

Kisi kamzor lamhay me

agar me tum say yay keh don

keh mujhay tum say Mohabbat hai

tu tum yay mat samajh layna keh me nay sach kaha ho ga

aisi dilnasheen batoon ko

aisi dilruba adaaon main

kehna

mujhay bachpan say aata hai

mayri aankhain, mayra chehra

mayra baysakhta lehja

yay sab kuch jhoot kehta hai

magar iss jhoot main ik sach bhi hai

‘Mujhay Tum Say Mohabbat hai’

Re: Kisi kamzor lamhay me

:k:

Re: Kisi kamzor lamhay me

zabardast