*Kisi ki aas ban kar phir ussay tanha nahe karna
Bhalay kuch bhi paray karna magar aisa nahe karna
Khabar kya kis ghari woh raakh kar dalay tere sapnay
Yun hi jaltay sharaaron se kabhi khaila nahe karna
Yeh na ho us ki yaadain rooh ka sartaan ban jaye
Kabhi hadd se zeyada tum ussay socha nahe karna
Muhabbat mein shikayat ka kahaan dastoor hota hai
Gilla kar ke muhabbat ko kabhi ruswa nahe karna
Wafa’ain dar-hakeekat be-panaah anmol motti hain
Kabhi apni wafa’oun ka silla maanga nahe karna
Kaheen aisa na ho woh apni manzil ka nishaan kho day
Kisi ka saath rastay mein kabhi chora nahe karna …*