Adaab Dostoon!!
ye ghazal nazar say guzari tu socha share karoon bari Sachi baat kahi~~
kisi ka saath Beech manjhdar main Chora nahin kartay … mohabbat karnay walay aisa kabhi nahin kartay… per aisa kon sochta hai …aksar logh apna hi sochtay hain …
apni taskeen ka…apnay aap k Sukoon ka…
Kisi ka saath raastay mein kabhi chorha nahin kartey
Mohabbat karne waale to kabhie aisa nahin kartey
Hum apni sarhadoon mein mutmain hain aye Jehaan waloon!
Hum auroon ki zameenon per kabhi qabza nahin kartey
Kahin uss sey tumharay haath hi zakhmi na ho jayen
Key aaieena jo toota ho use jora nahin kartey
Bharosa kya hai maujoon ka yeh gharq-e-aab kar dengi
Kabhi biphrey huay toofaan sey khela nahin kartey
Usoolon per na aaye aanch ghar jalta hai jal jaaye
Jo haq wale hain batil se woh samjhauta nahin kartey
Agar hum royein bhi aankhein hamari num nahin hoteen
Ke hum apni mohabbat ko kabhi ruswa nahi kartay
“Sarosh” itna bataa do tajirana zehan waloon ko
Mohabbat karne waaley pyaar ka sauda nahin kartay!! **
Re: Kisi ka saath raastay mein kabhi chorha nahin kartey...!!
[QUOTE] Originally posted by Lamhay: *
*
Adaab Dostoon!!
ye ghazal nazar say guzari tu socha share karoon bari Sachi baat kahi~~
kisi ka saath Beech manjhdar main Chora nahin kartay ...... mohabbat karnay walay aisa kabhi nahin kartay.... per aisa kon sochta hai .....aksar logh apna hi sochtay hain ...
apni taskeen ka.....apnay aap k Sukoon ka.......

[/QUOTE]