Kisi ka kya bigar jaata
Agar hum ek hojaatay
Hamesha ki tarah suraj
Tuloo mashroq hi se hota
Hamesha ki tarah raatoon mein
Taaray jagmagaatay aur
Baharoon mein gul-o-bulbul
Mehaktay cheh’chaahatay haan
Kisi ka kya bigar jaata
Kisi ka kya bigar jaata
Na mein phirti yak-o-tanha
Na tum gum-sum raha kartay
Na jeevan mein kami rehti
Na aankhoon mein nami rehti
Na mausam rooth’tay hum se
Na roz-o-shab giraan hotay
Guzartay pal yun hairat se
Humein dekha nahee kartay
Agar hum ek ho jaatay
Agar hum ek ho jaatay
Tu roohon mein jo basti hai
Azal ki pyaas na rehti
Khalish si zindagi mein phir
Pass-e-ehsaas na rehti
Koi hasrat nahee rehti
Koi bhi aas na rehti
Udaasi yaas na rehti
Kisi ka kya bigar jaata
Agar hum ek ho jaatay …
Re: Kisi ka kya bigar jaata
hmm Nice :)
Re: Kisi ka kya bigar jaata
:k:
Re: Kisi ka kya bigar jaata
Very Sweet Imaging
Agar hum ek ho jaatay
Tu roohon mein jo basti hai
Azal ki pyaas na rehti
Khalish si zindagi mein phir
Pass-e-ehsaas na rehti
Koi hasrat nahee rehti
Koi bhi aas na rehti
Udaasi yaas na rehti
Re: Kisi ka kya bigar jaata
Bohat Khoob................ :)
Re: Kisi ka kya bigar jaata
kisi ka kya bigar jaata...
Re: Kisi ka kya bigar jaata
kya biggar jata....
buhat khoob :)
Re: Kisi ka kya bigar jaata
kisi ka kiya bigar jata,sahi kaha very nice