~ Kisi ka kya bigar jaata, agar hum ek hojaatay ~

*** Kisi ka kya bigar jaata Agar hum ek hojaatay Hamesha ki tarah suraj Tuloo mashroq hi se hota Hamesha ki tarah raatoon mein Taaray jagmagaatay aur Baharoon mein gul-o-bulbul Mehaktay cheh'chaahatay haan Kisi ka kya bigar jaata Kisi ka kya bigar jaata Na mein phirti yak-o-tanha Na tum gum-sum raha kartay Na jeevan mein kami rehti Na aankhoon mein nami rehti Na mausam rooth'tay hum se Na roz-o-shab giraan hotay Guzartay pal yun hairat se Humein dekha nahee kartay Agar hum ek ho jaatay Agar hum ek ho jaatay Tu roohon mein jo basti hai Azal ki pyaas na rehti Khalish si zindagi mein phir Pass-e-ehsaas na rehti Koi hasrat nahee rehti Koi bhi aas na rehti Udaasi yaas na rehti Kisi ka kya bigar jaata Agar hum ek ho jaatay ...

:flower1: very nice:flower1:

Mashllah bahut khoob likha :k: …bahut saree daad wassool kijye

:k:

W@h buhat achey arif bhai !! :flower1: