Thehro
kisi bhi more ka aglay parao par ,
juda he hum ko hona hai
tou aao phir
yahin apnay asason ko alag alag kar lein
yeh jitnay zakhm dil par hain ,
idhar meri taraf kar dou
keh tum aksar yeh kehtay thay ,
yeh sab meri badolat hain
tou phir yeh zakhm mairay hain , mujahe day dou
zara daikho
yahan kuch khawab bhi hongay ,
jo mil kar hum nay daikhe thay ,
unhain taqseem karna hai
so yun kar lo
suhane khawab tum rakh lo ,
adhooray sab mujahe day dou
keh meri yun bhi aadat hai ,
mujahe tooti hui cheezon say ik bay naam raghbat hai so aadhe khawab tum rakh lo ,
yeh aadhe khawab mairay hain
chalo taqseem ka qissa yahin ab khatam kartay hain magar thehro ,
yahin thehro
yahan tum say mujahe ik baat kehna hai ,
mujahe ik ehad lena hai
kisi bhi more ya aglay parao par ,
nah mur kay dekhna mujh ko
keh mur kar dekhnay say ehad kamzor partay hain , iraday toot jatay hain
sabar kay jaam hathon say palon mein chhoot jatay hain
bohat nuqsaan hota hai
tum yeh nuqsaan mat karna
khayali iss kahani mein haqeeqi rang mat bharna…
Re: Kisi Bhi Morr K Agle Parao Par…
**kisi bhi more ya aglay parao par ,
nah mur kay dekhna mujh ko
keh mur kar dekhnay say ehad kamzor partay hain , iraday toot jatay hain
![]()
suna tha peeche dekhne wale patar ho jate hain
**
Re: Kisi Bhi Morr K Agle Parao Par…
boht hi aala ![]()
Re: Kisi Bhi Morr K Agle Parao Par…
Suni suna`e baaton py Dehaan na dyn…![]()
Khud tajarba kr k daikhayn…![]()
Re: Kisi Bhi Morr K Agle Parao Par......
Suni suna`e baaton py Dehaan na dyn.............:p
Khud tajarba kr k daikhayn..........:D
main peeche dekhta nahin. jo mujhe acha lage usse peeche choRta hi nahin
Re: Kisi Bhi Morr K Agle Parao Par......
main peeche dekhta nahin. jo mujhe acha lage uss ka peecha choRta hi nahin
sorry for this little ammendment
Re: Kisi Bhi Morr K Agle Parao Par…
ye bhi theek hai ![]()
Re: Kisi Bhi Morr K Agle Parao Par…
![]()
![]()
Re: Kisi Bhi Morr K Agle Parao Par…
:k: