Huwa to kuch bhi nahin
bas…
Thore se maan toote hain
Thore se khuwaab bikhre hain
Thore se log bichre hain
Huwa to kuch bhi nahin
bas…
Thori si neendein urr gaiin hain
Thori si khushyan chin gaiin hain
Thora sa chein ganwaya hai
Howa to kuch bhi nahin
bas…
Apna aap ganwaya hai
Ankhon ko barasna sikhaya hai
Muhabbaton ka sila paya hai
Huwa to kuch bhi nahin
bas…
Kisi apne ne rulaya hai …!!!
Re: kisi apnay ne rulaya hai
ye to boht kuch ho chuka hai.. itne per to Ekta Kappor ka na khtam hone wala soap bun sakta hai :)
Re: kisi apnay ne rulaya hai
**Apna aap ganwaya hai
Ankhon ko barasna sikhaya hai
Muhabbaton ka sila paya hai
Huwa to kuch bhi nahin
bas...
Kisi apne ne rulaya hai ....!!!!!
**kaash wo apna hi hota
Re: kisi apnay ne rulaya hai
but thts based on mirch masala and jhagray and makkari :no:
![]()