Nisar Main teri galiyon ke aey watan ke jahan
chali hai rasm keh koi na sar utha kay chalay..
jo koi chahnay wala tawaf ko niklay
nazar chura kay chalay, jism-o-jaan bacha kay chalay..
hai ahl-e-dil kay liye ab yeh nazm-e-bast-o-kushaad
ke sang-e-wakhast muqayyad hain aur sag azaad..
Bohot hai zulm kay dast-e-bahana joo kay liye
jo chand ahl-e-junoon tera naam lewa hain
banein hain ehl-e-hawas, mudda’ii bhi, munsif bhi
kisay wakeel karein, kis se munsafi chahein..