Kis shehar na shuhra howa nadani-i-dil ka
kis pey na khula raz pareshani-i-dil ka
aao kareen mehfil pay zar-i-zakhm numayaan
charcha ha bahut be-sarosamani-i-dil ka
pochoo to udhar teer-fagan koun ha yaroo
sonpa tha jisey kaam nighabani-i-dil ka
utrey they kabhi FAIZ woh aaina-i-dil mein
aalam ha wohi aaj bhi heerani-i-dil ka
(Faiz)