Kis se kahain aur kaun sunay jo haal tumhare baad huwa

Ab kis se kahain aur kaun sunay jo haal tumhare baad huwa
Is dil ki jheel si aankhoon mein ek khwaab bahut barbaad huwa

Yeh hijr hawa bhi dushman hai us naam ke saaray rangoo ki
Woh naam jo mere hontoo per khushboo ki tarah abaad huwa

Is shehar mein kitne chehray thay kuch yaad nahee sab bhool gaye
Ek shaks kitaboo jaisa thaa woh shaks zubaani yaad huwa

Woh apne gaoon ki galeyaan theen dil jin mein naachta gaata thaa
Ab is se farq nahee parta nashaad huwa ya shaad huwa

Be-naam sataish rehti thee in ghehri saanwli aankhoon mein
Aisa tu kabhi socha bhi na thaa dil ab jitna be-daad huwa…

Very nice.....

superb :k:
thanx for sharing:)

boaht khoob..

Excellent :k::k::k::k::k::k: