Kis ne meri kabar per a k diya jala diya
Bijlii karak k giri sara kafan jala diya
Chien se soo rahi thi mein aurhey kafan mazaar ka
Yahaan bhi sataane a gaye, kiss ne pata bata diya
Phool cherhaa k mazaar per ehsaan tum ne kya kiya
Hum ne tumharrey ishq mein mitt ker dikha diya
Mein hoon woo badnaseeb shama jiss ki koyi seher nahin
Shaam houi jala diya subha houi bujhaa diya
Tera aur mera faisla ho ga khuda k samne
Abb too tumharrey samne hum ne yeh sar jhukaa diya…
Jitni bhi tareef ki jaye, shayad kam hogi :k::k::k:
Sar-e-mehfil !
Khein jo mil ja’a
Us Say Kehna
K tera matlaashi
Aaj bhi reh guzar pay betha hai
Or wahain say guzarney waloin ko
Tera hulya bata k kehta hai “Tum ney us ko kahein dekha hai”?
“Mein ney us ko yahein khoya tha…”