kis nay kaha k uss ko ghazal maiN saja k la!!

***funkar hai tu haath maiN suraj saja k la
bujhta huwa dee’aa na muqabil hawa k la

dar’yaa ka Inteqaam dubo day na ghar tera
sahil say roz roz na kankar utha k la

ab Ikhtataam ko hai sakhi harf-e-Iltamas
kuch hai tu ab wo sa’mnay dast-e-dua k la

paima’N wafa k baandh magar soch soch ker
Iss Ibtada maiN yuuN na sukhan Inteha k la

aara’ish-e-jarahat-e-yaran ki bazm hai
jo zakhm dil maiN haiN sabi ta’n per saja k la

thori see Or mo’ej maiN aa aye hawa-e-gul
thori see uss k jism ki khushbu chura k la

mohsiN ab uss ka naam hai sab ki zubaaN per
kis nay kaha k uss ko ghazal maiN saja k la!!***

Re: kis nay kaha k uss ko ghazal maiN saja k la!!

very beautiful ghazal Koyal esp following lines:

*** dar'yaa ka Inteqaam dubo day na ghar tera
sahil say roz roz na kankar utha k la


Re: kis nay kaha k uss ko ghazal maiN saja k la!!

SuKhan mein Sehaal nahii Jaan Nikaal k rakhna
yea zindagii hai humari . sanbhaal k rakhnaa

Re: kis nay kaha k uss ko ghazal maiN saja k la!!

I like this.. very creative… :k:

and jee issi zameen maiN filbadeeh arz hai (munh kaa zaaiqa badalnaY kaY liye): :blush: :blush:

Jaa bhaag kaY dau chaar aam uThaa kaY laa
aur saath maiN kuch jaamun bacha kaY laa

tarbooz haiN kaY goya, golaY hoN Toup kaY
tokri maiN piyaar saY kelaY sajaa kaY laa

aNgoor chaman kaY haiN lajawaab dosto!
apnaY liye piyaaz kee bori ladaa kaY laa

Jo Nadia naY iss tarah dhutkaar tujhaY diyaa
Tu forun kisi naazneeN ko abb phaNsaa kaY laa

Anwaar abb uss kaa naam hai sub kee zubaan par
Kiss naY kahaa thaa biryaani yooN pakaa kaY laa

Re: kis nay kaha k uss ko ghazal maiN saja k la!!

^ suna tha ap khanay k kafi shooqeen hai ab pata chala gaya
jab kuch na mil saka tu
gazal ko tarbooz samj k kha lee’aa
:cb:

Re: kis nay kaha k uss ko ghazal maiN saja k la!!

Veryyy Beautiful.. :lajawab:

Re: kis nay kaha k uss ko ghazal maiN saja k la!!

Beautiful sharing Koyal ji :-)

Re: kis nay kaha k uss ko ghazal maiN saja k la!!

thanks Jhun jhun :)

Re: kis nay kaha k uss ko ghazal maiN saja k la!!

thanks Alysh :)

Re: kis nay kaha k uss ko ghazal maiN saja k la!!

thanks a buuuuuuunch :slight_smile:

Re: kis nay kaha k uss ko ghazal maiN saja k la!!

thanks Gul :)