Wo rung e rukh wo aatish e khoon kon le gaya
ae dil tera wo raqs e junoon kon le gaya
zanjeer aanso’on ki kahan toot kar giri
wo inteha e gham ka sakoon kon le gaya
jo mujhse bolti thin wo raaten kahan gai
jo jaagta tha sooz e durooN kon le gaya
Kis moR per bichaR gaye yaadon ke qaafile
wo manzil e tarab ka fasoon kon le gaya
jo shama itni raat chali kiyun bujh gai
jo shoq ho chala tha fuzoon kon le gaya
Re: Kis moR per bichaR gaye yaadon ke qaafile
Bohat Aala…

jo shama itni raat chali kiyun bujh gai
jo shoq ho chala tha fuzoon kon le gaya
…
KESC walay ly ga`ay hongay Shayad…
Re: Kis moR per bichaR gaye yaadon ke qaafile
Bill time pe pay kar dia karo na ghareebo 
Re: Kis moR per bichaR gaye yaadon ke qaafile
Bill pay krnay walon k saath hi ye haal hota hy…
Jo bill pay nhi krty wo to BaRay mazay mein hyn…
Silsilay yadun k tootay nahin 
LP
6
Re: Kis moR per bichaR gaye yaadon ke qaafile
zanjeer aanso’on ki kahan toot kar giri
wo inteha e gham ka sakoon kon le gaya
:hinna:
tarash
7
Re: Kis moR per bichaR gaye yaadon ke qaafile
mujhy nahin pata kon le gaya