kis liay ab udas baythe ho ??? jab woh ek shahks das’taras main tha
**us say milna tumharay bas main tha ** us ke ankhain tumhari ankhain thee’n us ke baatain tumhare baatain thee’n us ka chehra tumhara chehra tha us kay dil per tumhara pehra tha
us ke har saans main basi thee’n tum us kay har lafz main khelee thee’n tum us kay sapno main bhe rache thee’n tum us ke neendoo’n main jagtee thee’n tum
woh jo kehta tha bay’kararee hai mere saree wafa tumhare hai sirf tum say mujhay mohabat hai sirf tum say mere haqeeqat hai
**kitnee batain main keh nahi sakta ** dur tum say main reh nahi sakta
tab tum us kay her ak jumlay ko tab tum us kay har ak jazbay ko
**ek hasi main uraya kertee thee’n ** sun kay tum bhool jaya kartee thee’n
us ke ankhoon ko daykhtee jab woh bay’nayazi kay dard sehta tha
**bhool jana tumhare aadat the ** phir bhee kita malool rehta tha
apni tanhai kay galay lag ker
**saray aansoo woh ro gaya ek din **
**ak pathar say dil lage kar kay ** khud bhee pathar ka ho gaya ek din
**ab woh tum say to kuch nahi kehta ** bay’nayazi kay dukh nahi sehta us ke ankhain ab us ke ankhain hain us ke baatain ab us ke baatain hain
bhool jana tumharee aadat hai us ke baatoon ko bhool jaao na !!!
**ab wo ak shahks das’taras main nahi **
**us say milna tumharay bas main nahi ** kis liay phir udaas baythee ho …??? kis liay phir udaas baythee ho…???
hmmmm uski baatein uski ankhein ! yehi hota hai jab samnay ho to kadar nahi hoti aur jab duur chala jaye koi to ehsaas hota hai k uski kya ehmiyat hai zindagi mein !
simple aur khobsurat :k: