By Ahmed Nadeem Qasmi
**kis ko qaatil mein kahoon kis ko masiihaa samajhoon
sab yahaan dost hee baithay hain kise kyaa samajhoon
woh bhee kyaa din they kay har vaham yaqeen hotaa thaa
ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhoon
dil jo Tootaa to kia haath duaa ko uthe
aise maahaul mein ab kis ko paraayaa samajhoon
zulm ye hai ke hai yaqtaa teri begaana ravi
lutf ye hai ke main ab tak tujhe apanaa samajhoon **