kis ko ma'loom tha !

yunhi chaltay huway raston main kai humsafar jo milay
aur bichartay gaye
aatay jatay huway mausmon ki tarah
aap hi apni gard-e-safar ho gaye
na kabhi main ne phir mur ke daikha unhain aur na socha kabhi
wo kahan kho gaye
jo gaye, so gaye
phir ye kaisay huwa?
yun hi ik ajnabi, daikhtay daikhtay
dil main utra nazar main sama sa gaya
aur dhanak rang jazbay jaga sa gaya
jaisay badal koi , be irada yunhi, meri chat pe ruka
aur barsay bina us pe thehra raha
kaya tamasha huwa, samnay thi nadi aur koi tishna lab
us ko takta gaya aur payasa raha
aik lamhay main simtay gi ye dasatan
kis ko ma’loom tha !
tum milo ge mujhay iss tarah be guman
kis ko ma’loom tha !

Re: kis ko ma’loom tha !

Nice One Ali :k:

Re: kis ko ma'loom tha !

hum ko maalomm tha.................:D
awesome sharing Ali..........

Re: kis ko ma’loom tha !

Buhat Aalaa … :k:

Re: kis ko ma'loom tha !

Great Poem Ali, Thanks for sharing

Re: kis ko ma’loom tha !

Maloom tha to pehlay batana tha na :smilestar:

PS Thanks :slight_smile:

Shukria

mujhay aap jaisay qadardanon ki zaroorat rahay gi agay bhi :slight_smile:

Re: kis ko ma’loom tha !

[quote=“Ali, post:80, topic:171650”]

Maloom tha to pehlay batana tha na :smilestar:

PS Thanks :slight_smile:

abhee yaad ayaa tha batana…sou bata diya na…:konfused:

Re: kis ko ma’loom tha !

[quote=“soniaa_jee, post:95, topic:171550”]

Hamdard ki Khameera Gau-Zaban Anbari Kamzor hafizay ko behtar aur dimagh ko tawana banati hai :smiley:

Re: kis ko ma’loom tha !

[quote=“Ali, post:10, topic:171743”]

:halo:
ye kya shay hai???

Re: kis ko ma’loom tha !

:smack: ye aap ki yaddasht ko behtar bananay ke liye aik dawa hai :snooty:

Re: kis ko ma’loom tha !

mujhay Dawaa ki nahin "Dua"ki zaroorat hai:D

Re: kis ko ma'loom tha !

aap dua ke saath saath dawa ki bhi zaroorat hai :)

Re: kis ko ma’loom tha !

nahin na…mujhay pata hai na…khair badaam khaatee tou hon…ab kya karon:teary2:

Re: kis ko ma’loom tha !

:hmmm: lagta hai beemari apni jarrain mazboot kar chuki hai is ka koi aur hal dhondhna paray ga :smiley:

Re: kis ko ma’loom tha !

la ilaaj ho gaee hai ab tou ye bemaaree…chorain app.rahnay dain mujhay meray haal par:(

Re: kis ko ma'loom tha !

I think is aisi Dawa kay Khaanay kay liay ek Cheez buhut zaroori hoti hay jo kay in kay paas nahein hay, Dont waste time

Re: kis ko ma'loom tha !

^Quite Disgusting!!!!!

Re: kis ko ma’loom tha !

:flower1: :flower2: :flower1: :flower2: :flower1: :flower2: :flower1: :flower2:

Re: kis ko ma’loom tha !

bohut khub :k: