Kis ko laga hy rog ye, jaisa laga mujay.

Mat pooch kis tarah ka tha kaisa laga mujay.

Jaisa tha jis tarah ka tha acha laga mujay.

Banjer howa hay zehan to dil sogwar hy.

kis ko laga hy rog ye, jaisa laga mujay.

Parwrda,e fareib-e-nazar tha issi liye.

Haton mai tera hath b dhoka laga mujay.

Aqs-e-wisal-e-yaar jo aujal huwa tu phir.

Rang-e-rukh-e-bahaar b phika laga mujay.

Har aik cheez yun tery paikr mein dhall gai.

Har aik cheez pr tera saya laga mujay.

Ik justju ka rai’gan hone ko hey mager.

Ik rabta k aur b ghehra laga mujay.

Pighla ye jisam lamss ki hid’dat sy aaj bi.

wo mery pass hy Aisa laga mujay.

Re: Kis ko laga hy rog ye, jaisa laga mujay.

bohat khoooooooob

Re: Kis ko laga hy rog ye, jaisa laga mujay.

Banjer howa hay zehan to dil sogwar hy.
kis ko laga hy rog ye, jaisa laga mujay.

Nice :k:

Re: Kis ko laga hy rog ye, jaisa laga mujay.

Muqawwe can u plz translate each line?:chilly:

Re: Kis ko laga hy rog ye, jaisa laga mujay.

:hayaa: But its quite simple. Is there any word you can’t understand or you want to make prose of it :faizy:

Re: Kis ko laga hy rog ye, jaisa laga mujay.

:smilestar: itni mehnat karwake samajhne ki zaroorat nahi…jao dusri poems parho…:emmy:

Re: Kis ko laga hy rog ye, jaisa laga mujay.

I didnt get the overall meaning :frowning:

:sannan: apne hath apne paas rakhiye:emmy:
muqawwe se pocha hai…aap se nahi:barbie:

Re: Kis ko laga hy rog ye, jaisa laga mujay.

LP Here you go.

Simple… Just be yourself.. people will love you, is the msg behind these lines.

Banjar = Barren; Baqol Ghalib: Ishq ne kardia nikamma ghalib, warna hum bhi aadmi the kaam ke… Matlab jab kisi ko ishq hota hai, to uske dil o dimagh kisi kaam ke laiq nahin rehte.

Sawan ke andhe ko sab harra hi soojhta hai.. You know hallucination :smiley:

Matlab ‘tum gae sab gaya. koi apni hi mitti talay dabb gaya’.. kisi ke jane ke bad sab be maani sa lagne lagta hai.

Kafi Sufiana si line hai.. iss ko samajhne ke liye aap ko Mansoor Hallaj ko padhna pade ga :smiley: In Bulleh Shah’s words ‘Ranjha Ranjha kar ke main aapi Ranjha hui…’

Matlab kisi ke chale jane ka matlab ye nahin ke aap ne usse kho dia.. jinko aap chahte ho, wo alag hoke aur pyare aur ziada qareeb hojate hain. Pehle unse aankh ka taluq hota hai.. phir wo aap ke ander basne lagte hain

Again Hallucination.. poet per jin ka saya tha :smiley:

PS: Khwab Rung Nice sharing and please don’t mind for this ulti seedhi translation

http://www.paklinks.com/gs/images/smilies/smile.gif