kis khauj mein niklay ho
aik lamhay ko thehro to
zindagi kay sabhi zaaiqay aas paas hi rehtay hain
aur tum yu’n qadam pay qadam uthaaye jaa rahay ho
apni pehchaan ko chor kay peechay
khud hi aaghay barhtay jaa rahay ho
ajnabiyat kay faasilay barhaatay jaa rahay ho
aik lamhay ko thehro to
kin bay-naam manzilo’n ko niklay ho
kin anjaanay rasto’n pay chalay jaa rahay ho
zindagi kahee’n aur door nahi’n
basi hai tumharay sang yahee’n kahee’n
kyou’n dooriyo’n mein saqoo’n kay mutlashi ho
ruko, aik lamhay ko thehro to
jis muqaam say chalay thay
us muqaam ko samajhtay to
ab bhi chalay jaa rahay ho
udaasiyo’n ki dhool uraatay jaa rahay ho
chaltay rehnay say kabhi rastay khatam nahi’n huay
bay-naam manzilo’n kay safar kabhi khatam nahi’n huay
kis an-daikhay milan ko tarsay jaa rahay ho
jo ghariyaa’n abhi hai’n
in ki qadar kiyay bina hi jaa rahay ho