**Jamey gi kaisey basat-e-yaraaN keh sheesha-o-jaam bujh gaye haiN
sajey gi kaisey shab-e-nigaraaN keh dil sar-e-sham bujh gaye haiN
woh tairgi he rah-e-butaaN meiN, chiragh-e-rukh he nah sha’am-e-wada
kiran koyi aarzo ki lawo keh sab dar-o-baam bujh gaye hain
buhat sambhala wafa ka pemaaN magar woh barsi he ab kay barkha
her ik iqraar mitt gaya he, tumaam peghaam bujh gaye haiN
qareeb aa aye meh-e-shab-e-ghum, nazar pe khulta naheen kochh is dam
keh dil pe kiss kiss ka naqsh baqi he, konsay naam bujh gaye haiN
bahaar aa kay keya karey gi keh jin say tha jashn-e-rang-o-naghma
woh gul ser-e-shakh jal gaye haiN, woh dil teh-e-daam bujh gaye haiN**
![]()
-Faiz