**
KION tere dard ko dain tohmat-e-werani-e-dil?**
zalzloon mein to bharay sher ujaR jatay hain
mosam-e-zard mein ik dil ko bacha,oun kaise?
aisi rut mein to ghanay paiR b jhaR jatay hain
shidat-e-gham mein bhi zinda hoon to hairat kaisi?
kuch deye tund hawaoon se bhi laR jatay hain
wo bhi kia log hain MOHSIN jo wafa ki khatir
khud trasheeda asooloon pe aRR jatay hain