zaahir hai k maut kab, kaise aur kahaN aayegii yeh koii nahiiN jaantaa magar jaise jaanwaroN jaise jaanwar Khatraat se aagaah ho jaate haiN usii taraH shaaz o naadir kisii kisii ko iskaa koii aHsaas ho jaataa hogaa…yaa phir koii kuchh kahtaa hai aur phir agarvaisaa hii ho jaataa hai to ham use ba’dii un nazar [hind sight] meN kah dete haiN k shaayad marHoom/marHooma ko apnii vafaat kaa 'ilm ho gayaa thaa!
shayari main ek aam ghissi pitti line i to hai: tere bin hum ji nahin paen ge..... ye kaise pata chalta hai?
yeh to ek shiddat-e-aHsaat hai jiskii tarjumaanii log kah dete haiN...it's not a factual thing...just a phrase, of course!
Ghalib ne saHeeH sawaal kiyaa thaa k:
**
maut kaa ek din mo'aiyan hai
neend raat bhar kiuN nahiiN aatii?**