kia khawab tha? kisi se vazaa'haat kabhi na ki

hum ne tu kheR tuj se shikaa’yat kabhi na ki
aisa nahi k dil ne bagaa’waat kabhi na ki

kis haal maiN teRay sataa’ey huweY gareeb
tu ne ye pochnay ki zahmat kabhi na ki

mehsoos kia karey gha aurooN k dard ko
jis ne khud apnay ap se ulfat kabhi na ki

chaha hai maiN ne jis ko baRi shidatooN k sath
us tarha se us ne muj se mohabat kabhi na ki

haR daastaaN teRi bohat ghooR se suni
lakiN bay’aan apni hikaa’yaat kabhi na ki

ik khawab tha k apni shaboon peR raha muheet
kia khawab tha? kisi se vazaa’haat kabhi na ki

aik aa’g thei k jalteY rahay jis maiN umeR bhaR
aik daRd tha k jis maiN khay’aanat kabhi na ki

Bohat Khoob Jharna jee.
Thanks for sharing :)

beautiful:k::k:
thaanX!

nice....

bahot khaoob Jharna jee :slight_smile:

**kis haal maiN teRay sataa’ey huweY gareeb
tu ne ye pochnay ki zahmat kabhi na ki

aik aa’g thei k jalteY rahay jis maiN umeR bhaR
aik daRd tha k jis maiN khay’aanat kabhi na ki**

wah wah :flower1:

:)

jharna

assalam u alaikum!

apni shayari ka yeh khoobsurat jharna behney dijiye///

wasssalam
aawazedost

thanks every one ..:)

:blush:

zabardast:k: