Ghazal ( Asmat)
Aitmad tha apna keh zakhm zakhm huN ab
gunha apna hai us ko muaaf kya karta
woh apne aap tha apni nigha meiN mujrim
phir apne jurm se maiN inheraaf kya karta
bichaDte lamhe badi der tak woh roya tha
woh is se baDh kar mera aitraaf kya karta
yahaaN to pal me badal lete haiN khuda bhi kai
woh saari umar mera tawaaf kya karta
woh khush tha phir na mileNge kabhi aie Asmat
bas itni baat pe maiN ikhtelaaf kya karta