~.~ Kia karaiN loag jab khuda ho jayeeN~.~ (Ahmad Faraz)

Iss se pehlay ke bay wafa jo jayeeN
kiuN na aye dost hum juda ho jayeeN
tu bhi heeray se ban gayay pathar
hum bhi kal jaanay kia se kia ho jayeeN
tu ke yakta tha, be shumaar hua
hum bhi ToTaiN tou jaabaja ho jayeeN
hum bhi majbooriooN ka uzr karaiN
phir kaheeN aur mubtala ho jayeeN
hum agar manzilaiN na ban payeeN
manzilooN tak ka raasta ho jayeeN
dair se souch maiN haiN parwanay
raakh ho jayeeN, ya hawa ho jayeeN
ishq bhi khel hay naseebooN ka
khaak ho jayeeN, keemia ho jayeeN
ab ke gar tu milay tou hum tujh se
aisay liptaiN, teri qaba ho jayeeN
bandagi hum ne chooR di hay Faraz
kia karaiN loag jab khuda ho jayeeN.

Re: ~.~ Kia karaiN loag jab khuda ho jayeeN~.~ (Ahmad Faraz)

buhat achchay GS bhai…really nice one thanx 4 sharing :flower1:

Re: ~.~ Kia karaiN loag jab khuda ho jayeeN~.~ (Ahmad Faraz)

very nice GS

Re: ~.~ Kia karaiN loag jab khuda ho jayeeN~.~ (Ahmad Faraz)

Tnx Precious & Saroo :flower1:

Re: ~.~ Kia karaiN loag jab khuda ho jayeeN~.~ (Ahmad Faraz)

oh i luv it ............superb excellent .......one of ma favs ........thanks GS for sharing such a master piece :)

Re: ~.~ Kia karaiN loag jab khuda ho jayeeN~.~ (Ahmad Faraz)

maza agia

Re: ~.~ Kia karaiN loag jab khuda ho jayeeN~.~ (Ahmad Faraz)

Shukria..** Lamhay** :flower1: Zara nawazi hay aap ki ke aap ne hamaiN itni Izaaat di… :stuck_out_tongue:

Azad Bhai Jan… Banda Mamnoon ha aap ka… :flower1:

Re: ~.~ Kia karaiN loag jab khuda ho jayeeN~.~ (Ahmad Faraz)

hummm Bhai or woh bhi Jan ka tharrka laga ke ........... chal mou dho ke aa.

Re: ~.~ Kia karaiN loag jab khuda ho jayeeN~.~ (Ahmad Faraz)

Wah! Bahut khoob Qamar yaadain taaza kardin aap nay :) khosh raho

Re: ~.~ Kia karaiN loag jab khuda ho jayeeN~.~ (Ahmad Faraz)

:flower2: that,s really good GS humien pasand aye:flower2:

Re: ~.~ Kia karaiN loag jab khuda ho jayeeN~.~ (Ahmad Faraz)

very nice :-)

Re: ~.~ Kia karaiN loag jab khuda ho jayeeN~.~ (Ahmad Faraz)

**Azad **Bhaya… Sardi hay… and Pani bhi naheeN hay… so… Next Question Plz :snooty:

Waseem Dear… Acha hay ke YadooN ka bill naheeN bharna ppaRta warna tou Lambi Qataar lagi hoti iski bhi .. :slight_smile:
Tnx for liking :flower1:

Ghazel Gi… Pasandeedgi ka buhut Shukria… :flower2:

Shab-e-Hijar Gi… Shukria… :flower1: Lagta hay Aaj kal Msroof haiN .. Buhu Kam ana hota hay … :slight_smile:

Re: ~.~ Kia karaiN loag jab khuda ho jayeeN~.~ (Ahmad Faraz)

vry nice n thanks 4 sharing GS

Re: ~.~ Kia karaiN loag jab khuda ho jayeeN~.~ (Ahmad Faraz)

You are Most Welcome Lovely Gi… :flower1:

Re: ~.~ Kia karaiN loag jab khuda ho jayeeN~.~ (Ahmad Faraz)

:blush: :flower1:

Re: ~.~ Kia karaiN loag jab khuda ho jayeeN~.~ (Ahmad Faraz)

Wah GS bhayya bohoay achay....

Re: ~.~ Kia karaiN loag jab khuda ho jayeeN~.~ (Ahmad Faraz)

Shukria… nakhan Gi :flower1:

Re: ~.~ Kia karaiN loag jab khuda ho jayeeN~.~ (Ahmad Faraz)

nice one Golden baji :)

Re: ~.~ Kia karaiN loag jab khuda ho jayeeN~.~ (Ahmad Faraz)

Shukria MamooN :p

Re: ~.~ Kia karaiN loag jab khuda ho jayeeN~.~ (Ahmad Faraz)

hmmmm tu ap ko ye kaam b ata hia ;):smiley: