Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

dear mr. hanibal,


sub say pehli baat to yeh keh yeh aap ko batlaya gaya hay keh ham (shia) sahabah karam r.a., par tabarra kartay hai'n magar maira bhai yeh haqeeqat nahee'n.


Sahabah karam rizwan-ullah-e-ajma'een ki shan mai'n gustakhi kisi ko bhi aakhirat mai'n sharmindah kar sakti hay. magar hamai'n sirf yeh tay karna ho ga keh Sahabi ki asal pehchan kia hay? kia har makki or har madni sahabi hay? kia sahabio'n mai'n say koi bhi munafiq nahee'n tha? kia quran paak mai'n mojood soorah munafeqoon Allah paak ki taraf say kisi mafroozay ki bunyad par nazil ki gaee?


Allah o Akbar.....


maira bhai hamary nazdeek sahabi ki pehchan yeh hay keh jo Allah or us kay Rasool s.a.w.a.w., par eeman laya or martay dam tak uss eeman par qaem raha usay ham yaqeenan sahabi-e-Rasool Allah s.a.w.a.w., hi maantay hai'n or hamaray liay baa'is-e-sharf-o-iftakhar ho ga agar akhirat mai'n hamai'n un mai'n say kisi ki chaakri ataa kar di ja'ay. Aisay sahabah karam r.a., kay qadmo'n ki khak par ham kia, hamaray maa'n baap, jaan, maal, olaad sub qurban. Subhan Allah, un ki to shaan hi nirali thi.


ham baizari ka izhar kartay hai'n un say jinho'n nay khuli munafiqat or zulm kay raastay ko apnaya. or maira nahee'n khayal keh jo Rasool s.a.w.a.w., ka kalma parh kar musalman hooa hay us ko koi sar-o-kaar hona chahiay kisi munafiq, zalim ya kazib say ya kisi aisay say jis say Allah or us ka Rasool s.a.w.a.w., baizar ho'n.


mazeed yeh keh aap say pehlay bhi guzarish ki thi keh is thread mai'n "to the point" baat karai'n or agar is mazmoon kay ilawa kuch sawalat aap ko paraishan kar rahay hai'n to un kay liay koi or thread khol lai'n. Fidvi koi aalim to nahee'n, aik adnaa sa talib ilm zaroor hay or insha Allah hasb-e-tofeeq aap ko jawab zaroor daita rahay ga.


agar koi baat buri lagi ho to mazrat khoaah hoo'n.