KHYAAL SE QALM TAK

** KHYAAL SE QALM TAK

**Yeh geet bus khabar bhar haiN
Meray zehan main uthtay gubaaroN ki
Khwaab main jinpay apnay sajaataa huiN

Alfaaz mahaz wo keelaiN hain deewaaroN ki
Ik koshish hai haasil ko byaaN karnay ki
Ik diwaangi khalaa ko bhrnay ki
Shaayri sirf souq nahi ab zaroorat hai bani

Khyaal say qalam tak kay safar main
Muqammal ka koi da_awa to nahi
Yeh afqaar meray hain magar
Meray dil ka aainaa to nahi

Magar kuch to hai jissay ho ayaaN
Meri duniyaa kay khwaab
Meri tanhaai meray ahad meray ahsaas
Aur yehi bahut hai mujhko fan-e-sukhan ka haasil
Aur isliyay hi bus main likhta rahuNga


Re: KHYAAL SE QALM TAK

Quoted part is too good, thanks for sharing Brijindar sahab:-)

Re: KHYAAL SE QALM TAK

I am thankful for the kind words.