Khwabon say ho Azad ~ to eik yaad hi reh jati hay

That name seems wont ever stop inspiring me
So here it goes again
(if its too bad let me know i wont share it with you ppl)

Phir aah lab choonay ko machal jati hay
Koi baat yaad aatay aatay reh jati hay

Phir uss ka haat Dhanp layta hay aankhon ko meri
Koi Pehchan ki khoshu badan main phail jati hay

Phir Sama’at DhonDnay lagti hay wahi payl
Koi jo taiz hoti hay kabhi rukh rukh si jati hay

Phir DhonDa rehta hon baarishon main usay roz
Koi barsat woh dil ki jo aankhon se chalak jati hay

Khwabon main rehti hay woh par’daiss ki shehzadi
Khwabon say ho Azad ~ to eik yaad hi reh jati hay

Adab Arz
(Azad)

hummm chalain phir kabhi sahi

Re: Khwabon say ho Azad ~ to eik yaad hi reh jati hay

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
That name seems wont ever stop inspiring me
So here it goes again
(if its too bad let me know i wont share it with you ppl)

**Phir Sama'at DhonDnay lagti hay wahi payl
Koi jo taiz hoti hay kabhi rukh ruh si jati hay

Phir DhonDa rehta hon baarishon main usay roz
Koi barsat woh dil ki jo aankhon se chalak jati hay**

Adab Arz
(Azad)
[/QUOTE]

Kiya baat hai Azad jee... thanks for sharing...

Jab behi likhtay hain aap dil say he likhtay hain....

Bahut khoob :k:

nice :k: