khwab dilasa detay hain ..

Jub zindage kay safar main
saharon kay taqub main
chaltay chaltay hum thak jatay hain
aur manzil bhatak jate hai
to aisay kamzor lamhon main
khwaab dilasa detay hian ..

Yahi sahara bantay hain
aur jub chahat kay samandar main
hum raahein dhoondtein hain
magar hum apna app bhi kho detay hain
aur jub aas se dobnay lagtee hai
to aisay baybus lamhon main
khwaavb dilasa detay hain ..

Yahi kinara bantay hian
aur jub dil ke char-diwari main
muqeed dukh dard ko khamoshi say seh kar
maan panchi ghutan mehsoos karta hai
khushi-o-roshni k aas karta hai
to aisay sarab lamhon main
khwaab dilasa detay hain ..

Yahe darwaza bantay hain
aur jub pyar ke bazi main
hhum apna sub kuch kho detay hain
aur khali hath-o-nigahon say
zeesth guzarni parthi hai
to aise mayoos lamhoon main
khwab dilasa detay hain ..
yahi asasa bantay hain …*

Re: khwab dilasa detay hain ..

:k:

Re: khwab dilasa detay hain ..

Yahe darwaza bantay hain
aur jub pyar ke bazi main
hhum apna sub kuch kho detay hain
aur khali hath-o-nigahon say
zeesth guzarni parthi hai
to aise mayoos lamhoon main
khwab dilasa detay hain ..
yahi asasa bantay hain …

These lines r awesome :k:

Re: khwab dilasa detay hain ..

Nice poem IS :):k:

Re: khwab dilasa detay hain ..

Nice …:k: